SEARCH RESULTS
Showing search results for "باب"
Sher MATCHES FOR "باب"
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Asad Badayuni
Sher
kisii harf me.n kisii baab me.n nahii.n aa.egaa
tiraa zikr merii kitaab me.n nahii.n aa.egaa
Noshi Gilani
Sher
vo kha.Daa hai ek baab-e-ilm kii dahliiz par
mai.n ye kahtaa huu.n use is KHauf me.n daaKHil na ho
Muneer Niyazi
Sher
merii vafaa hai us kii udaasii kaa ek baab
muddat hu.ii hai jis se mujhe ab mile hu.e
Aziz Hamid Madni
Sher
utraa thaa jis pe baab-e-hayaa kaa varaq varaq
bistar ke ek ek shikan kii shariik thii
Mustafa Zaidi
Sher
kuchh is adaa se mohabbat-shanaas honaa hai
KHushii ke baab me.n mujh ko udaas honaa hai
Rahul Jha
Sher
hamaare dil pe jo zaKHmo.n kaa baab likkhaa hai
isii me.n vaqt kaa saaraa hisaab likkhaa hai
Manzar Bhopali
Sher
Agha Shayar Qazalbash
Sher
intizaar aur dastako.n ke darmiyaa.n kaTtii hai umr
itnii aasaanii se to baab-e-hunar khultaa nahii.n
Saleem Kausar
Sher
idhar terii mashiyyat hai udhar hikmat rasuulo.n kii
ilaahii aadmii ke baab me.n kyaa hukm hotaa hai
Josh Malihabadi
Sher
aah kartaa huu.n to aatii hai palaT kar ye sadaa
aashiqo.n ke vaaste baab-e-asar khultaa nahii.n
Sehr Ishqabadi
Sher
raste kaa intiKHaab zaruurii saa ho gayaa
ab iKHtitaam-e-baab zaruurii saa ho gayaa
Aitbar Sajid
Sher
har ek ranj usii baab me.n kiyaa hai raqam
zaraa saa Gam thaa jise be-panaah mai.n ne kiyaa
Irfan Sattar
Sher
mai.n ek baab thaa afsaana-e-vafaa kaa magar
tumhaarii bazm se uTThaa to ik kitaab banaa
Hasan Naim
Sher
jise pa.Dhaa nahii.n tum ne kabhii mohabbat se
kitaab-e-ziist kaa vo baab hai.n mire aa.nsuu