SEARCH RESULTS
Showing search results for "باس"
Sher MATCHES FOR "باس"
Sher
ek siitaa kii rifaaqat hai to sab kuchh paas hai
zindagii kahte hai.n jis ko raam kaa ban-baas hai
Hafeez Banarasi
Sher
bikhar ke phuul fazaa.o.n me.n baas chho.D gayaa
tamaam rang yahii.n aas-paas chho.D gayaa
Aanis Moin
Sher
Gariib bhuuk kii Thokar se KHuun KHuun hu.e
kisii amiir ko ab to lahuu kii baas aa.e
Anwar Kaifi
Sher
laa.ii hai ab u.Daa ke ga.e mausamo.n kii baas
barkhaa kii rut kaa qahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Sher
kitne ban-baas liye phir bhii tire saath rahe
ham ne sochaa hii nahii.n tujh se judaa ho jaanaa
Ishrat Rumani
Sher
kaliyo.n me.n taazgii hai na phuulo.n me.n baas hai
tere baGair saaraa gulistaa.n udaas hai
Junaid Hazin Lari
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
chaaro.n jaanib rachii hu.ii hai ashko.n kii buu-baas
is raste se guzre ho.nge qaafile hijrat vaale
Jamal Ehsani
Sher
kashish kuchh aisii thii miTTii kii baas me.n ham log
qazaa kaa daam bichhaa thaa magar chale aa.e
Ataurrahman Qazi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Jaun Eliya
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n