SEARCH RESULTS
Showing search results for "بام"
Sher MATCHES FOR "بام"
Sher
dasht-e-tanhaa.ii me.n jiine kaa saliiqa siikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhii ham-safar ho jaa.e.nge
Fuzail Jafri
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
judaa the ham to mayassar thii.n qurbate.n kitnii
baham hu.e to pa.Dii hai.n judaa.iyaa.n kyaa kyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Anwar Mirzapuri
Sher
sunte hai.n chamaktaa hai vo chaa.nd ab bhii sar-e-baam
hasrat hai ki bas ek nazar dekh le.n ham bhii
Zuhoor Nazar
Sher
ab KHaak u.D rahii hai yahaa.n intizaar kii
ai dil ye baam-o-dar kisii jaan-e-jahaa.n ke the
Jaun Eliya
Sher
jis kii saa.nso.n se mahakte the dar-o-baam tire
ai makaa.n bol kahaa.n ab vo makii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
bahut dino.n se mire baam-o-dar kaa hissa hai
mirii tarah ye udaasii bhii ghar kaa hissa hai
Khushbir Singh Shaad
Sher
aa.nkho.n me.n damak uTThii hai tasviir-e-dar-o-baam
ye kaun gayaa mere baraabar se nikal kar
Sarvat Husain
Sher
Idris Babar
Sher
ik daastaan ab bhii sunaate hai.n farsh o baam
vo kaun thii jo raqs ke aalam me.n mar ga.ii
Sarvat Husain
Sher
Naseer Turabi
Sher
mere hii sa.ng-o-KHisht se ta.amiir-e-baam-o-dar
mere hii ghar ko shahr me.n shaamil kahaa na jaa.e
Majrooh Sultanpuri
Sher
rah-navard-e-bayaabaan-e-Gam sabr kar sabr kar
kaarvaa.n phir mile.nge baham sabr kar sabr kar
Nasir Kazmi
Sher
hai.n laazim-o-malzuum baham husn o mohabbat
ham hote na taalib jo vo matluub na hotaa