SEARCH RESULTS
Showing search results for "بتانا"
Sher MATCHES FOR "بتانا"
Sher
dukh apnaa agar ham ko bataanaa nahii.n aataa
tum ko bhii to andaaza lagaanaa nahii.n aataa
Waseem Barelvi
Sher
hamaare haal pe ab chho.D de hame.n duniyaa
ye baar baar hame.n kyuu.n bataanaa pa.Dtaa hai
Bharat Bhushan Pant
Sher
agar hamaare hii dil me.n Thikaanaa chaahiye thaa
to phir tujhe zaraa pahle bataanaa chaahiye thaa
Shakeel Jamali
Sher
Nazim Barelvi
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
jis taraf tuu hai udhar ho.ngii sabhii kii nazre.n
iid ke chaa.nd kaa diidaar bahaana hii sahii
Amjad Islam Amjad
Sher
kal apne-aap ko dekhaa thaa maa.n kii aa.nkho.n me.n
ye aa.iina hame.n buu.Dhaa nahii.n bataataa hai
Munawwar Rana
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
mirii zindagii to guzrii tire hijr ke sahaare
mirii maut ko bhii pyaare ko.ii chaahiye bahaana
Jigar Moradabadi
Sher
vo puuchhtaa thaa mirii aa.nkh bhiigne kaa sabab
mujhe bahaana banaanaa bhii to nahii.n aayaa