SEARCH RESULTS
Showing search results for "بت_بے_پیر"
Sher MATCHES FOR "بت_بے_پیر"
Sher
dekh dil ko mire o kaafir-e-be-piir na to.D
ghar hai allaah kaa ye is kii to taamiir na to.D
Bahadur Shah Zafar
Sher
tujh se milne par but-e-bedard ye uqda khulaa
bholii-bhaalii shakl vaale hote hai.n jallaad bhii
Jaleel Manikpuri
Sher
itvaar ko aanaa tiraa maaluum ki ik umr
be-piir tire ham ne hii atvaar ko dekhaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
tuu gosh-e-dil se sune us ko gar but-e-be-mehr
fasaana turfa hai aur maajraa hai zor miraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ulfat me.n tirii ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hame.n ik haath se taalii kaa bajaanaa
Baqaullah 'Baqa'
Sher
be-piye chain nahii.n hosh nahii.n jaan nahii.n
shauq kaahe ko maraz hai mujhe mai-KHvaarii kaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshii thii
haa.e ye vaqt ki ab pii ke bhii maKHmuur nahii.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
zaraa chhu.aa thaa ki bas pe.D aa giraa mujh par
kahaa.n KHabar thii ki andar se khokhlaa hai bahut
Rajinder Manchanda Bani
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
Dar apne piir se bii piir piir piir na kar
ki tere piir ke va.ade ne mujh ko piir kiyaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
be-piye vaa.iz ko merii raa.e me.n
masjid-e-jaama me.n jaanaa hii na thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
sau chaa.nd bhii chamke.nge to kyaa baat banegii
tum aa.e to is raat kii auqaat banegii