SEARCH RESULTS
Showing search results for "بحال"
Sher MATCHES FOR "بحال"
Sher
judaa hu.e to judaa.ii me.n ye kamaal bhii thaa
ki us se raabta TuuTaa bhii thaa bahaal bhii thaa
Naved Raza
Sher
vo mehrbaan nahii.n hai to phir KHafaa hogaa
ko.ii to raabta us ko bahaal rakhnaa hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
vo kyaa KHushii thii jo dil me.n bahaal rahtii thii
magar vaj.h nahii.n bantii thii muskuraane kii
Faizan Hashmi
Sher
vo jis ne mujh ko tire hijr me.n bahaal rakhaa
tuu aa gayaa hai to kyaa us se bevafaa ho jaa.uu.n
Irfan Sattar
Sher
jo ishq chaahtaa hai vo honaa nahii.n hai aaj
KHud ko bahaal karnaa hai khonaa nahii.n hai aaj
Farhat Ehsas
Sher
rishta bahaal kaash phir us kii galii se ho
jii chaahtaa hai ishq dobaara usii se ho
Irshad Khan Sikandar
Sher
yaar aaj mai.n ne bhii ik kamaal karnaa hai
jism se nikalnaa hai jii bahaal karnaa hai
Mohammad Alvi
Sher
Ata ul Haq Qasmi
Sher
bas ek lamhe me.n kyaa kuchh guzar ga.ii dil par
bahaal hote hu.e ham ne ek zamaana liyaa
Shahzad Ahmad
Sher
zaKHm-e-talaash me.n hai nihaa.n marham-e-daliil
tuu apnaa dil na haar mohabbat bahaal rakh
Meer Ahmad Naved
Sher
Akhtar Husain Jafri
Sher
vo le gayaa hai mirii aa.nkh apnii bastii me.n
ki mere saath rahe raabta bahaal us kaa
Bedar Sarmadi
Sher
junuu.n ke aalam me.n raqs karne ko aa ga.e hai.n
bahaal hone lagii hai raunaq tirii galii kii
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
aa.nkhe.n ta.Dap rahii hai.n mirii kuchh KHayaal kar
band-e-qabaa ko khol badan ko bahaal kar
Saleem Siddiqui
Sher
yahii hai zindagii kuchh KHvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
jab yaar ne uThaa kar zulfo.n ke baal baa.ndhe
tab mai.n ne apne dil me.n laakho.n KHayaal baa.ndhe