SEARCH RESULTS
Showing search results for "بحر"
Sher MATCHES FOR "بحر"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
aa.nkhe.n na jiine de.ngii tirii be-vafaa mujhe
kyuu.n khi.Dkiyo.n se jhaa.nk rahii hai qazaa mujhe
Imdad Ali Bahr
Sher
tum bahr-e-mohabbat ke kinaare pe kha.De the
tum ne mirii aa.nkho.n me.n samundar nahii.n dekhaa
Azhar Naiyyar
Sher
KHudii vo bahr hai jis kaa ko.ii kinaara nahii.n
tuu aabjuu ise samjhaa agar to chaara nahii.n
Allama Iqbal
Sher
ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banaa diyaa
dariyaa samajh ke kuud pa.De ham saraab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
KHudaa aliim hai har shaKHs kii banaavaT kaa
kaho namaaziyo sajde kiye ki sar paTkaa
Imdad Ali Bahr
Sher
tiraa nizaam hai sil de zabaan-e-shaa.er ko
ye ehtiyaat zaruurii hai is bahar ke liye
Dushyant Kumar
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
qatra na ho to bahr na aa.e vajuud me.n
paanii kii ek buu.nd samundar se kam nahii.n
Junaid Hazin Lari
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
kausar kaa jaam us ko ilaahii nasiib ho
ko.ii sharaab merii lahad par chhi.Dak gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
chaa.nd cha.Dhtaa dekhnaa behad samundar par 'muniir'
dekhnaa phir bahr ko us kii kashish se jaagtaa
Muneer Niyazi
Sher
zaahid sunaa.uu.n vasf jo apnii sharaab ke
pa.Dhne lage.n daruud farishte savaab ke