SEARCH RESULTS
Showing search results for "بخار"
Sher MATCHES FOR "بخار"
Sher
jaane kis ko Dhuu.nDne daaKHil hu.aa hai jism me.n
haDDiyo.n me.n raasta kartaa hu.aa piilaa buKHaar
Adil Mansuri
Sher
Sada Ambalvi
Sher
diivaangii me.n phe.nk rahe the jo ham libaas
utrii qabaa buKHaar badan se utar gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
dhoyaa gayaa tamaam hamaaraa Gubaar-e-dil
girye ne dil se KHuub nikaalaa buKHaar-e-dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ruKH pe aa jaataa hai jis roz tamanna kaa buKHaar
raat ho jaatii hai chehra mujhe dhote dhote
Sharib Mauranwi
Sher
ek muddat se mirii maa.n nahii.n so.ii 'taabish'
mai.n ne ik baar kahaa thaa mujhe Dar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
Mirza Ghalib
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
muddat ke baa'd aaj use dekh kar 'muniir'
ik baar dil to dha.Dkaa magar phir sambhal gayaa
Muneer Niyazi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
is qadar musalsal thii.n shiddate.n judaa.ii kii
aaj pahlii baar us se mai.n ne bevafaa.ii kii
Ahmad Faraz
Sher
ik baar us ne mujh ko dekhaa thaa muskuraa kar
itnii to hai haqiiqat baaqii kahaaniyaa.n hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
ghar ke baahar Dhuu.nDhtaa rahtaa huu.n duniyaa
ghar ke andar duniyaa-daarii rahtii hai
Rahat Indori
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa