SEARCH RESULTS
Showing search results for "بد_ذات"
Sher MATCHES FOR "بد_ذات"
Sher
qaasid ko us ne jaate hii ruKHsat kiyaa thaa lek
bad-zaat maa.ndgii ke bahaane se rah gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jis manzar kaa hissa terii zaat nahii.n
merii nazar me.n us kii ko.ii auqaat nahii.n
Badr Muneer
Sher
tamaam umr kii diivaangii ke baa'd khulaa
mai.n terii zaat me.n pinhaa.n thaa aur tuu mai.n thaa
Alamtaab Tishna
Sher
mai.n apnii zaat kaa safar tamaam kar ke ruk gayaa
phir is ke baad raasto.n se merii guftuguu hu.ii
Aziz Nabeel
Sher
tire badan ke gulistaa.n kii yaad aatii hai
KHud apnii zaat ke sahraa ko paar karte hu.e
Aftab Hussain
Sher
tuu mirii zaat mirii ruuh miraa husn-e-kalaam
dekh ab tuu na badal gardish-e-dauraa.n kii tarah
Zaheer Kashmiri
Sher
mujhe pahu.nchnaa hai bas apne-aap kii had tak
mai.n apnii zaat ko manzil banaa ke chaltaa huu.n
Khaleel Mamoon
Sher
ban ga.e insaan apnii zaat me.n jangal 'muniir'
bastiyo.n se u.D ga.ii hai buu-e-aadam-zaad tak
Badr Muneer
Sher
zindagii kahte hai.n jis ko chaar din kii baat hai
bas hamesha rahne vaalii ik KHudaa kii zaat hai
Unknown
Sher
pahchaan jin se thii vo havaale miTaa diye
us ne kitaab-e-zaat kaa safha badal diyaa
Fatima Hasan
Sher
KHudaa se maa.ng jo kuchh maa.ngnaa hai ai 'akbar'
yahii vo dar hai ki zillat nahii.n savaal ke ba.ad
Akbar Allahabadi
Sher
ham ki ik umr rahe ishva-e-duniyaa ke asiir
muddato.n baa'd ye kam-zaat samajh me.n aa.ii
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
daftar me.n zehn ghar pe nigah raaste me.n paa.nv
jiine kii kaavisho.n me.n badan haath se gayaa
Ghazanfar
Sher
baa-ii.n-hama darmaandagii insaa.n ke ye da.ave
kyaa zaat-e-shariif in ko banaayaa hai KHudaa ne