SEARCH RESULTS
Showing search results for "بر"
Sher MATCHES FOR "بر"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
ho.nTo.n pe kabhii un ke miraa naam hii aa.e
aa.e to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aa.e
Ada Jafarey
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
naama-bar tuu hii bataa tuu ne to dekhe ho.nge
kaise hote hai.n vo KHat jin ke javaab aate hai.n
Qamar Badayuni
Sher
paa.nv saakit ho ga.e 'sarvat' kisii ko dekh kar
ik kashish mahtaab jaisii chehra-e-dilbar me.n thii
Sarvat Husain
Sher
tumhaare aane kii ummiid bar nahii.n aatii
mai.n raakh hone lagaa huu.n diye jalaate hu.e
Azhar Iqbal
Sher
miraa KHat us ne pa.Dhaa pa.Dh ke naama-bar se kahaa
yahii javaab hai is kaa ko.ii javaab nahii.n
Ameer Minai
Sher
ye ham jo hijr me.n diivaar-o-dar ko dekhte hai.n
kabhii sabaa ko kabhii naama-bar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
baiThe hu.e raqiib hai.n dilbar ke aas-paas
kaa.nTo.n kaa hai hujuum gul-e-tar ke aas-paas
Jigar Moradabadi
Sher
payaam-bar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte
Haidar Ali Aatish
Sher
mazaa le.nge ham dekh kar terii aa.nkhe.n
unhe.n KHuub tuu naama-bar dekh lenaa