SEARCH RESULTS
Showing search results for "برائے"
Sher MATCHES FOR "برائے"
Sher
baraa.e-naam sahii ko.ii mehrbaan to hai
hamaare sar pe bhii hone ko aasmaan to hai
Aqeel Shadab
Sher
parinde la.D hii pa.De jaa.edaad par aaKHir
shajar pe likkhaa hu.aa hai shajar baraa.e-faroKHt
Afzal Khan
Sher
nukta yahii azal se pa.Dhaayaa gayaa hame.n
havvaa baraa.e-husn hai aadam baraa.e-ishq
Rana Amir Liyaqat
Sher
Humaira Rahat
Sher
zaraa ye duusraa misra.a durust farmaa.e.n
mire makaan pe likkhaa hai ghar baraa.e-faroKHt
Afzal Khan
Sher
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
baraa.e ahl-e-jahaa.n laakh kaj-kulaah the ham
ga.e hariim-e-suKHan me.n to aajizii se ga.e
Irfan Sattar
Sher
javaab do ki na do ai buto nahii.n parvaa
kahuu.n jo kuchh vo baraa.e-KHudaa suno to sahii
Nawab Begam Hijab
Sher
ham vo falak hai.n ahl-e-tavakkul ki misl-e-maah
rakhte nahii.n hai.n naan-e-shabiina baraa-e-sub.h
Shah Naseer
Sher
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharaab
ko.ii bhii zarf baraa.e vuzuu nahii.n baaqii
Riyaz Khairabadi
Sher
baraa.e-naam hii sahii ba-ehtiyaat kiijiye
daruun-e-kizb-o-iftiraa sadaaqate.n KHalat-malat
Rahi Fidai
Sher
to bhii us tak hai rasaa.ii mujhe ehsaa.n dushvaar
daam luu.n gar par-e-jibriil baraa-e-parvaaz
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
auro.n kii buraa.ii ko na dekhuu.n vo nazar de
haa.n apnii buraa.ii ko parakhne kaa hunar de
Khaleel Tanveer
Sher
KHudaa bachaa.e tirii mast mast aa.nkho.n se
farishta ho to bahak jaa.e aadmii kyaa hai
Khumar Barabankavi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kisii ra.iis kii mahfil kaa zikr hii kyaa hai
KHudaa ke ghar bhii na jaa.e.nge bin bulaa.e hu.e