SEARCH RESULTS
Showing search results for "برستے"
Sher MATCHES FOR "برستے"
Sher
pattharo aaj mire sar pe baraste kyuu.n ho
mai.n ne tum ko bhii kabhii apnaa KHudaa rakkhaa hai
Hakeem Nasir
Sher
Unknown
Sher
a.ng a.ng se rang ra.ng ke phuul baraste dekhe kaun
ra.ng rang se shole barse kaise barse soche kaun
Ahmad Zafar
Sher
Abdul Hamid
Sher
sab ke liye jahaan me.n abr-e-karam hai.n vo
chaaro.n taraf baraste hai.n ik buu.nd idhar nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
yuu.n barastii hai.n tasavvur me.n puraanii yaade.n
jaise barsaat kii rim-jhim me.n samaa.n hotaa hai
Qateel Shifai
Sher
sar-zamiin-e-hind par aqvaam-e-aalam ke 'firaaq'
qaafile baste ga.e hindostaa.n bantaa gayaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
ham to samjhe the ki barsaat me.n barsegii sharaab
aa.ii barsaat to barsaat ne dil to.D diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
ye ek abr kaa Tuk.Daa kahaa.n kahaa.n barse
tamaam dasht hii pyaasaa dikhaa.ii detaa hai
Shakeb Jalali
Sher
mire pa.Dos me.n aise bhii log baste hai.n
jo mujh me.n Dhuu.nD rahe hai.n buraa.iyaa.n apnii
Ameer Qazalbash
Sher
nikal ga.e hai.n jo baadal barasne vaale the
ye shahr aab ko tarsegaa chashm-e-tar ke baGair
Saleem Ahmed
Sher
Ameer Minai
Sher
ishq ke maraahil me.n vo bhii vaqt aataa hai
aafate.n barastii hai.n dil sukuun paataa hai