SEARCH RESULTS
Showing search results for "برہنہ"
Sher MATCHES FOR "برہنہ"
Sher
Gazal ke parde me.n be-parda KHvaahishe.n likhnaa
na aayaa ham ko barahana guzaarishe.n likhnaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
apne liye tajviiz kii shamshiir-e-barhana
aur us ke liye shaaKH se ik phuul utaaraa
Sarvat Husain
Sher
jamhuuriyat kii laash pe taaqat hai KHanda-zan
is barahna nizaam me.n har aadmii kii KHair
Ajay Sahaab
Sher
Zubair Rizvi
Sher
mai.n ghar se terii tamannaa pahan ke jab nikluu.n
barahna shahr me.n ko.ii nazar na aa.e mujhe
Qateel Shifai
Sher
sazaa to milnaa thii mujh ko barahana lafzo.n kii
zabaa.n ke saath labo.n ko rafuu bhii honaa thaa
Iqbal Sajid
Sher
yuu.n guzartaa hai tirii yaad kii vaadii me.n KHayaal
KHaarzaaro.n me.n ko.ii barhana-paa ho jaise
Syed Ehtisham Husain
Sher
aadmii pahle bhii na.ngaa thaa magar jism talak
aaj to ruuh ko bhii ham ne barahna paayaa
Hosh Jaunpuri
Sher
ye aur baat hai ki barhana thii zindagii
maujuud phir bhii mere badan par libaas thaa
Ibrahim Ashk
Sher
Saail Dehlvi
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
raqiib dekh sambhal kar ke saamne aanaa
barahna teG hai.n ik dast-e-rozgaar me.n ham
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
huduud-e-jism se aage ba.Dhe to ye dekhaa
ki tishnagii thii barahna tirii adaa.o.n tak
Shaukat Pardesi
Sher
merii barhana pusht thii ko.Do.n se sabz o surKH
gore badan pe us ke bhii niilaa nishaan thaa
Amir Hamza Saqib
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Khursheed Akbar
Sher
ko.ii tashbiih kaa KHurshiid na talmiih kaa chaa.nd
sar-e-qirtaas lagaa harf-e-barhana achchhaa