SEARCH RESULTS
Showing search results for "بزم_ساقی"
Sher MATCHES FOR "بزم_ساقی"
Sher
bazm-e-saaqii me.n rakhaa zahr kaa pyaala hogaa
vo piyegaa jo tiraa chaahne vaalaa hogaa
Unknown
Sher
Ahmad Faraz
Sher
abhii aa.ankho.n hii ko de bazm me.n gardish saaqii
yahii paimaane chhalakte rahe.n jaam aane tak
Asif Banarsi
Sher
ye kaisii bazm hai aur kaise us ke saaqii hai.n
sharaab haath me.n hai aur pilaa nahii.n sakte
Chakbast Braj Narayan
Sher
saaqii ke aane kii ye tamannaa hai bazm me.n
dast-e-subuu buland hai dast-e-du.aa ke saath
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
go aaj terii bazm me.n saaqii guzar nahii.n
kal degaa tuu hii ba.Dh ke mai-e-tez-tar mujhe
Khalid Shifai
Sher
Asad Bhopali
Sher
tere paimaane me.n gardish nahii.n baaqii saaqii
aur tirii bazm se ab ko.ii uThaa chaahtaa hai
Parveen Shakir
Sher
saaqii mire bhii dil kii taraf Tuk nigaah kar
lab-tishna terii bazm me.n ye jaam rah gayaa
Khwaja Meer Dard
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
Mahshar Inayati
Sher
buraa lagaa mire saaqii ko zikr-e-tishna-labii
ki ye savaal mirii bazm me.n kahaa.n se uThaa
Saleem Ahmed
Sher
Mirza Ghalib
Sher
uTThii hai chashm-e-saaqii-e-mai-KHaana bazm par
ye vaqt vo nahii.n ki halaal-o-haraam dekh
Firaq Gorakhpuri
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
kiyaa hai chashm-e-muravvat ne aaj maa.il-e-mehr
mai.n un kii bazm se kal aabdiida aayaa thaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
dil-girafta hii sahii bazm sajaa lii jaa.e
yaad-e-jaanaa.n se ko.ii shaam na KHaalii jaa.e
Ahmad Faraz
Sher
ek aa.nsuu ne Duboyaa mujh ko un kii bazm me.n
buu.nd bhar paanii se saarii aabruu paanii hu.ii