SEARCH RESULTS
Showing search results for "بسایا"
Sher MATCHES FOR "بسایا"
Sher
dil kii taraf 'shakiil' tavajjoh zaruur ho
ye ghar uja.D gayaa to basaayaa na jaa.egaa
Shakeel Badayuni
Sher
ye aur baat ki vo ab yahaa.n nahii.n rahtaa
magar ye us kaa basaayaa hu.aa makaan to hai
Aqeel Shadab
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
barg bhar baar mohabbat kaa uThaayaa kab thaa
tum ne siine me.n ko.ii dard basaayaa kab thaa
Jaleel 'Aali'
Sher
daryaaft kar liyaa hai basaayaa nahii.n mujhe
saamaan rakh diyaa hai sajaayaa nahii.n mujhe
Asifa Nishat
Sher
tum us ke paas ho jis ko tumhaarii chaah na thii
kahaa.n pe pyaas thii dariyaa kahaa.n banaayaa gayaa
Yasir Khan Inam
Sher
terii mahfil se jo niklaa to ye manzar dekhaa
mujhe logo.n ne bulaayaa mujhe chhuu kar dekhaa
Rahat Indori
Sher
utar bhii aa.o kabhii aasmaa.n ke ziine se
tumhe.n KHudaa ne hamaare liye banaayaa hai
Bashir Badr
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
ab to maz.hab ko.ii aisaa bhii chalaayaa jaa.e
jis me.n insaan ko insaan banaayaa jaa.e
Gopaldas Neeraj
Sher
aavaaz de rahaa thaa ko.ii mujh ko KHvaab me.n
lekin KHabar nahii.n ki bulaayaa kahaa.n gayaa
Faisal Ajmi
Sher
ik ham hai.n ki ham ne tumhe.n ma.ashuuq banaayaa
ik tum ho ki tum ne hame.n rakkhaa na kahii.n kaa
Muztar Khairabadi
Sher
taariif us KHudaa kii jis ne jahaa.n banaayaa
kaisii zamii.n banaa.ii kyaa aasmaa.n banaayaa