SEARCH RESULTS
Showing search results for "بستیاں"
Sher MATCHES FOR "بستیاں"
Sher
log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.n jalaane me.n
Bashir Badr
Sher
ab yaad-e-raftagaa.n kii bhii himmat nahii.n rahii
yaaro.n ne kitnii duur basaa.ii hai.n bastiyaa.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
bastiyaa.n kuchh hu.ii.n viiraan to maatam kaisaa
kuchh KHaraabe bhii to aabaad hu.aa karte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Sher
ye bastiyaa.n hai.n ki maqtal du.aa kiye jaa.e.n
du.aa ke din hai.n musalsal du.aa kiye jaa.e.n
Iftikhar Arif
Sher
ve suurate.n ilaahii kis mulk bastiyaa.n hai.n
ab dekhne ko jin ke aa.nkhe.n tarastiyaa.n hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
sab ummiide.n mire aashob-e-tamannaa tak thii.n
bastiyaa.n ho ga.ii.n Garqaab to dariyaa utraa
Hasan Abidi
Sher
shaayad jalii hai.n phir kahii.n nazdiik bastiyaa.n
guzre hai.n kuchh parinde idhar se Dare hu.e
Munawwar Rana
Sher
Jaun Eliya
Sher
Khatir Ghaznavi
Sher
na jaane kitnii bastiyaa.n uja.D ke rah ga.ii.n
mile hai.n raaste me.n kuchh makaa.n jale jale
Akbar Hyderabadi
Sher
shikasta-paa.ii se hotii hai.n bastiyaa.n aabaad
jo ab qabiila hu.aa pahle qaafila hogaa
Sagheer Malal
Sher
nagar nagar me.n na.ii bastiyaa.n basaa.ii ga.ii.n
hazaar chaahaa magar phir bhii apnaa ghar na banaa
Ahmad Ziya
Sher
mirii havas ke muqaabil ye shahr chhoTe hai.n
KHalaa me.n jaa ke na.ii bastiyaa.n talaash karuu.n
Anjum Khaleeq
Sher
bastiyaa.n kaise na mamnuun ho.n diivaano.n kii
vus.ate.n in me.n vahii laate hai.n viiraano.n kii
Mukhtar Siddiqui
Sher
huduud-e-shahr se baahar bhii bastiyaa.n phailii.n
simaT ke rah ga.e yuu.n ja.ngalo.n ke ghere bhii