SEARCH RESULTS
Showing search results for "بلال"
Sher MATCHES FOR "بلال"
Sher
aaj bhii naqsh hai.n dil par tirii aahaT ke nishaa.n
ham ne us raah se auro.n ko guzarne na diyaa
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
kaamyaabii kii du.aa.e.n mujhe dene vaale
mai.n tire ishq me.n naakaam hu.aa jaataa huu.n
Haris Bilal
Sher
Bilal Ahmad
Sher
falak pe bhii.D lagii thii shikasta aaho.n kii
du.aa se pahle mujhe raasta banaanaa pa.Daa
Haris Bilal
Sher
tumhaarii yaad kii shiddat me.n bahne vaalaa ashk
zamii.n me.n bo diyaa jaa.e to aa.nkh ug aa.e
Haris Bilal
Sher
achchhaa tirii nazar me.n bahut muKHtalif huu.n mai.n
ya.anii tirii nazar me.n ko.ii duusraa bhii hai
Haris Bilal
Sher
vo mujh ko dekhne mere qariib aayaa hai
ye dhund saare mahiino.n me.n kyuu.n nahii.n pa.Dtii
Haris Bilal
Sher
yaad rakhnaa bhii ik ibaadat hai
kyuu.n na ham un kaa haafiza ho jaa.e.n
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
Haris Bilal
Sher
pahle kii baat aur hai jab dil me.n the muqiim
ab tum rago.n me.n dau.Dte ho KHuun kii tarah
Haris Bilal
Sher
ik lafz yaad thaa mujhe tark-e-vafaa magar
bhuulaa hu.aa huu.n Thokare.n khaane ke baa'd bhii
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
aa.o to mere sahn me.n ho jaa.e raushnii
muddat guzar ga.ii hai charaaGaa.n kiye hu.e
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
mai.n chaah kar bhii use kuchh na de sakaa 'haaris'
vo bhaav puuchh ke merii dukaa.n se lauT gayaa
Haris Bilal
Sher
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
hamaarii KHaak tabarruk samajh ke le jaa.o
hamaarii jaan mohabbat kii lau me.n jaltii thii
Bilal Ahmad
Sher
sunaa hai mai.n ne aziyyat maza bhii detii hai
sunaa hai dil kii KHalish me.n sakuu.n bhii hotaa hai
Bilal Ahmad
Sher
milii hai.n suukhte dariyaa ko bahr kii lahre.n
tire gilass me.n paanii piyaa hai shahzaadii
Haris Bilal
Sher
hosh-o-havaas khone lagaa huu.n firaaq me.n
tanhaa.iyo.n ne aisaa muqaffal kiyaa mujhe