SEARCH RESULTS
Showing search results for "بند_عشق"
Sher MATCHES FOR "بند_عشق"
Sher
sau baar band-e-ishq se aazaad ham hu.e
par kyaa kare.n ki dil hii aduu hai faraaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
naasuur kii sifat hai na hogaa kabhuu vo band
jarraah zaKHm-e-ishq kuu.n aa kar siyaa to kyaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
pahlii sii lazzate.n nahii.n ab dard-e-ishq me.n
kyuu.n dil ko mai.n ne zulm kaa KHuugar banaa diyaa
Sehr Ishqabadi
Sher
lutf-o-sitam vafaa jafaa yaas-o-umiid qurb-o-bod
ishq kii umr kaT ga.ii chand tavahhumaat me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
saaTh pai.nsaTh baras ke baa'd aayaa
'ishq mujh ko havas ke baa'd aayaa
Junaid Saqlaini Mujaddadi
Sher
daavar ne bande bando.n ne daavar banaa diyaa
saagar ne qatre qatro.n ne saagar banaa diyaa
Sehr Ishqabadi
Sher
Hina Rizvi
Sher
ham ishq ke bande hai.n maz.hab se nahii.n vaaqif
gar ka.aba hu.aa to kyaa but-KHaana hu.aa to kyaa
Asifud Daula
Sher
ishq me.n aur bhii diivaana banaa detii hai
merii aavaaz me.n mil kar tirii aavaaz mujhe
Abr Ahsani Ganauri
Sher
Siraj Lakhnavi
Sher
mai.n band kamre kii majbuuriyo.n me.n leTaa rahaa
pukaartii phirii baazaar me.n havaa mujh ko
Bimal Krishn Ashk
Sher
ishq me.n fikr to diivaana banaa detii hai
pyaar ko aql nahii.n dil kii panaaho.n me.n rakho
Aleena Itrat
Sher
aa.e hai bekasii-e-ishq pe ronaa 'Gaalib'
kis ke ghar jaa.egaa sailaab-e-balaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Sher
ishq kii raah me.n mai.n mast kii tarah
kuchh nahii.n dekhtaa buland aur past