SEARCH RESULTS
Showing search results for "بنی_نوع_انسان"
Sher MATCHES FOR "بنی_نوع_انسان"
Sher
phir ke nigaah chaar-suu Thahrii usii ke ruu-ba-ruu
us ne to merii chashm ko qibla-numaa banaa diyaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
vo shorishe.n nizaam-e-jahaa.n jin ke dam se hai
jab muKHtasar kiyaa unhe.n insaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
Ibraheem Hosh
Sher
ai mish.al-e-ummiid ye ehsaan kam nahii.n
taariik shab ko tuu ne daraKHshaa.n banaa diyaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
logo.n ne bahut chaahaa apnaa saa banaa Daale.n
par ham ne ki apne ko insaan bahut rakkhaa
Abdul Hamid
Sher
kis bebasii ke saath basar kar rahaa hai umr
insaan musht-e-KHaak kaa ehsaas liye hu.e
Nushur Wahidi
Sher
insaan be-hisii se hai patthar banaa hu.aa
mu.nh me.n zabaan bhii hai lahuu bhii rago.n me.n hai
Afzal Minhas
Sher
us aastaa.n pe sajda kaa bhii kuchh rahaa na hosh
allaah-re iztiraab jabiin-e-niyaaz kaa
Mirza Ehsan Beg
Sher
chain is dil ko na ik aan tire bin aayaa
din gayaa raat hu.ii raat hu.ii din aayaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
shahr ye saayo.n kaa hai is me.n banii-aadam kahaa.n
ab kisii suurat yahaa.n insaan honaa chaahiye
Abid Wadood
Sher
Dar apne piir se bii piir piir piir na kar
ki tere piir ke va.ade ne mujh ko piir kiyaa