SEARCH RESULTS
Showing search results for "بن_باس"
Sher MATCHES FOR "بن_باس"
Sher
kitne ban-baas liye phir bhii tire saath rahe
ham ne sochaa hii nahii.n tujh se judaa ho jaanaa
Ishrat Rumani
Sher
ek siitaa kii rifaaqat hai to sab kuchh paas hai
zindagii kahte hai.n jis ko raam kaa ban-baas hai
Hafeez Banarasi
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
aashiqii me.n sabhii bebaak hu.e jaate hai.n
ab zamaane me.n kise arz-e-hunar aataa hai
Moid Rasheedi
Sher
jalva be-baak adaa shoKH tamaashaa gustaaKH
uTh ga.e bazm se aadaab-e-nazar mere baad
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
chaaro.n jaanib rachii hu.ii hai ashko.n kii buu-baas
is raste se guzre ho.nge qaafile hijrat vaale
Jamal Ehsani
Sher
ho ga.e bebas ka.ii ustaad bhii haalaat se
bik rahii chhup-chhup ke yuu.n har roz bechaarii Gazal
Sujit Sahgal Haasil
Sher
Gairo.n se mil ke hii sahii be-baak to hu.aa
baare vo shoKH pahle se chaalaak to hu.aa
Muneer Niyazi
Sher
kyuu.n chup hai.n vo be-baat samajh me.n nahii.n aataa
ye ra.ng-e-mulaaqaat samajh me.n nahii.n aataa
Ahsan Marahravi
Sher
Obaid Siddiqi
Sher
vahii lafz hai.n durr-e-be-bahaa mire vaaste
jinhe.n chhuu ga.ii ho tirii zabaa.n mire mehrbaa.n