SEARCH RESULTS
Showing search results for "بوسہ"
Sher MATCHES FOR "بوسہ"
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
bosa jo ruKH kaa dete nahii.n lab kaa diijiye
ye hai masal ki phuul nahii.n pa.nkhu.Dii sahii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Mirza Ghalib
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de
Mirza Ghalib
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
badan kaa saaraa lahuu khi.nch ke aa gayaa ruKH par
vo ek bosa hame.n de ke surKH-ruu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
bosa liyaa jo us lab-e-shiirii.n kaa mar ga.e
dii jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayaat par
Ameer Minai
Sher
kyaa qayaamat hai ki aariz un ke niile pa.D ga.e
ham ne to bosa liyaa thaa KHvaab me.n tasviir kaa
Unknown
Sher
kyaa KHuub tum ne Gair ko bosa nahii.n diyaa
bas chup raho hamaare bhii mu.nh me.n zabaan hai
Mirza Ghalib
Sher
le lo bosa apnaa vaapas kis liye takraar kii
kyaa ko.ii jaagiir ham ne chhiin lii sarkaar kii