SEARCH RESULTS
Showing search results for "بوسیدہ"
Sher MATCHES FOR "بوسیدہ"
Sher
maa.n KHvaab me.n aa kar ye bataa jaatii hai har roz
bosiida sii o.Dhii hu.ii is shaal me.n ham hai.n
Munawwar Rana
Sher
yaad aa.e.nge zamaane ko misaalo.n ke liye
jaise bosiida kitaabe.n ho.n havaalo.n ke liye
Farigh Bukhari
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
hijrat kii gha.Dii ham ne tire KHat ke alaava
bosiida kitaabo.n ko bhii saamaan me.n rakkhaa
Iftikhar Shafi
Sher
Saleem Ahmed
Sher
dil lagtaa hai baahar se jo bosiida makaa.n saa
daaKHil to kabhii ho ke ye qasr-e-adnii dekh
Afeef Siraj
Sher
Allama Iqbal
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
bosa jo ruKH kaa dete nahii.n lab kaa diijiye
ye hai masal ki phuul nahii.n pa.nkhu.Dii sahii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
ho jaa.e jahaa.n shaam vahii.n un kaa baseraa
aavaara parindo.n ke Thikaane nahii.n hote
Makhmoor Saeedi
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
bosa liyaa jo us lab-e-shiirii.n kaa mar ga.e
dii jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayaat par
Ameer Minai
Sher
pe.D ke niiche zaraa sii chhaa.nv jo us ko milii
so gayaa mazduur tan par boriyaa o.Dhe hu.e
Sharib Mauranwi
Sher
kyaa KHuub tum ne Gair ko bosa nahii.n diyaa
bas chup raho hamaare bhii mu.nh me.n zabaan hai