SEARCH RESULTS
Showing search results for "بچائے"
Sher MATCHES FOR "بچائے"
Sher
KHudaa bachaa.e tirii mast mast aa.nkho.n se
farishta ho to bahak jaa.e aadmii kyaa hai
Khumar Barabankavi
Sher
Neelma Naheed Durrani
Sher
jis ko bachaa.e rakhne me.n ajdaad bik ga.e
ham ne usii havelii ko niilaam kar diyaa
Mansoor Usmani
Sher
mai.n shar kii sharaarat se to hoshyaar huu.n lekin
allaah bachaa.e to bachuu.n KHair ke shar se
Pinhaan
Sher
har-dam ye du.aa maa.ngte rahte hai.n KHudaa se
allaah bachaa.e shab-e-furqat kii balaa se
Mardan Ali Khan Rana
Sher
nazar bachaa.e guzar jaa.uu.n paas se us ke
use bhii aaj zaraa saa Daraa diyaa jaa.e
aqeel nomani
Sher
azaab-e-mauj-o-talaatum mujhe qubuul magar
KHudaa bachaa.e azaab-e-fareb-e-saahil se
Iqbal Azeem
Sher
dil ko ham kab tak bachaa.e rakhte har aaseb se
Thes aaKHir lag ga.ii shiishe me.n baal aa hii gayaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
khii.nche hai mujhe dast-e-junuu.n dasht-e-talab me.n
daaman jo bachaa.e hai.n garebaan ga.e hai.n
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
pahle do-chaar suKHan-var hii hu.aa karte the
ab to har shaKHs suKHan-var hai bachaa.e maulaa
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
aadam ke laaDle bhii kuchh kam nahii.n hai.n lekin
havvaa kii beTiyo.n se allaah hii bachaa.e
Manzar Suhai
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kisii ra.iis kii mahfil kaa zikr hii kyaa hai
KHudaa ke ghar bhii na jaa.e.nge bin bulaa.e hu.e
Ameer Minai
Sher
hai ko.ii jo bataa.e shab ke musaafiro.n ko
kitnaa safar hu.aa hai kitnaa safar rahaa hai
Shahryar
Sher
Ameer Khusrau
Sher
ba.Dhte chale ga.e jo vo manzil ko paa ga.e
mai.n pattharo.n se paa.nv bachaane me.n rah gayaa
Umair Manzar
Sher
Unknown
Sher
o jaane vaale aa ki tire intizaar me.n
raste ko ghar banaa.e zamaane guzar ga.e