SEARCH RESULTS
Showing search results for "بچے"
Sher MATCHES FOR "بچے"
Sher
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuu.n kar le.n
kisii rote hu.e bachche ko ha.nsaayaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
Munawwar Rana
Sher
mujh ko thakne nahii.n detaa ye zaruurat kaa pahaa.D
mere bachche mujhe buu.Dhaa nahii.n hone dete
Meraj Faizabadi
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche
Bedil Haidri
Sher
Rajesh Reddy
Sher
chup-chaap baiThe rahte hai.n kuchh bolte nahii.n
bachche biga.D ga.e hai.n bahut dekh-bhaal se
Adil Mansuri
Sher
bachche fareb khaa ke chataa.ii pe so ga.e
ik maa.n ubaaltii rahii pathar tamaam raat
Abdul Majid Nashtar Jabalpuri
Sher
jugnuu ko din ke vaqt parakhne kii zid kare.n
bachche hamaare ahd ke chaalaak ho ga.e
Parveen Shakir
Sher
Khalid Mahmood
Sher
Ahmad Faraz
Sher
ashk-e-Gam diida-e-pur-nam se sambhaale na ga.e
ye vo bachche hai.n jo maa.n baap se paale na ga.e
Meer Anees
Sher
Rahat Indori
Sher
Abbas Tabish
Sher
Munawwar Rana
Sher
Nida Fazli
Sher
Rajesh Reddy
Sher
mai.n ne haatho.n se bujhaa.ii hai dahaktii hu.ii aag
apne bachche ke khilaune ko bachaane ke liye