SEARCH RESULTS
Showing search results for "بیری"
Sher MATCHES FOR "بیری"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
mirii apnii aur us kii aarzuu me.n farq ye thaa
mujhe bas vo use saaraa zamaana chaahiye thaa
Bushra Ejaz
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
bharii bahaar me.n ik shaaKH par khilaa hai gulaab
ki jaise tuu ne hathelii pe gaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
maz.hab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaa
hindii hai.n ham vatan hai hindostaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
Zaheer Kashmiri
Sher
Nida Fazli
Sher
un ras bharii aa.nkho.n me.n hayaa khel rahii hai
do zahr ke pyaalo.n me.n qazaa khel rahii hai
Akhtar Shirani
Sher
naala-e-bulbul-e-shaidaa to sunaa ha.ns ha.ns kar
ab jigar thaam ke baiTho mirii baarii aa.ii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
socho to silvaTo.n se bharii hai tamaam ruuh
dekho to ik shikan bhii nahii.n hai libaas me.n
Shakeb Jalali
Sher
ham un ke sitam ko bhii karam jaan rahe hai.n
aur vo hai.n ki is par bhii buraa maan rahe hai.n
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
kabhii un mad-bharii aa.nkho.n se piyaa thaa ik jaam
aaj tak hosh nahii.n hosh nahii.n hosh nahii.n