SEARCH RESULTS
Showing search results for "بے_زبانوں"
Sher MATCHES FOR "بے_زبانوں"
Sher
zabaa.n milii bhii to kis vaqt be-zabaano.n ko
sunaane ke liye jab ko.ii daastaa.n na rahii
Shahryar
Sher
Nazeer Banarasi
Sher
be-zabaanii tarjumaan-e-shauq behad ho to ho
varna pesh-e-yaar kaam aatii hai taqriire.n kahii.n
Hasrat Mohani
Sher
be-zabaa.n bhii to bataa detaa hai manzil kaa pataa
tai karaataa hai safar miil kaa patthar KHaamosh
Shams Ramzi
Sher
vo sun rahaa hai mirii be-zabaaniyo.n kii zabaa.n
jo harf-o-saut-o-sadaa-o-zabaa.n se pahle thaa
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
hadiis-e-dil ba-zabaan-e-nazar bhii kah na sakaa
huzuur-e-husn ba.Dhii aur bebasii merii
Muhammad Ayyub Zauqi
Sher
KHato.n ko kholtii diimak kaa shukriya varna
ta.Dap rahii thii lifaafo.n me.n be-zabaanii pa.Dii
Azhar Faragh
Sher
sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve
kafan sarkaa.o merii be-zabaanii dekhte jaa.o
Fani Badayuni
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Ameer Minai
Sher
naala-e-be-saut KHud ban.ne lagaa mohr-e-sukuut
be-zabaanii ko hamaarii ab zabaa.n se kyaa Garaz