SEARCH RESULTS
Showing search results for "تابناک"
Sher MATCHES FOR "تابناک"
Sher
charaaG-e-raahguzar laakh taabnaak sahii
jalaa ke apnaa diyaa raushnii makaan me.n laa
Akbar Hyderabadi
Sher
dil ke phaphuule jal uThe siine ke daaG se
is ghar ko aag lag ga.ii ghar ke charaaG se
Mahtab Rai Taban
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
Ada Jafarey
Sher
kis kis tarah kii dil me.n guzartii hai.n hasrate.n
hai vasl se ziyaada mazaa intizaar kaa
Taban Abdul Hai
Sher
ishq me.n be-taabiyaa.n hotii hai.n lekin ai 'hasan'
jis qadar bechain tum ho us qadar ko.ii na ho
Hasan Barelvi
Sher
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii hai magar
sab kii taabinda sahar ho ye zaruurii to nahii.n
Habeeb Hashmi
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
ab un dariicho.n pe gahre dabiiz parde hai.n
vo taa.nk-jhaa.nk kaa ma.asuum silsila bhii gayaa
Parveen Shakir
Sher
ye chaar din kii rifaaqat bhii kam nahii.n ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
Alok Yadav
Sher
phuul baahar hai ki andar hai mire siine me.n
chaa.nd raushan hai ki mai.n aap hii taabinda huu.n
Ahmad Shanas
Sher
Javed Akhtar
Sher
gesuu-e-taabdaar ko aur bhii taabdaar kar
hosh o KHirad shikaar kar qalb o nazar shikaar kar
Allama Iqbal
Sher
apnaa hii haal tak na khulaa mujh ko ta-ba-marg
mai.n kaun huu.n kahaa.n se chalaa thaa kahaa.n gayaa
Hairat Allahabadi
Sher
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar kii manzil hai
ye aazmaa.ish-e-qalb-o-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
rah-e-talab me.n kise aarzuu-e-manzil hai
shu.uur ho to safar KHud safar kaa haasil hai