SEARCH RESULTS
Showing search results for "تجلیات"
Sher MATCHES FOR "تجلیات"
Sher
kahaanii KHatm hu.ii aur aisii KHatm hu.ii
ki log rone lage taaliyaa.n bajaate hu.e
Rehman Faris
Sher
duniyaa ne tajrabaat o havaadis kii shakl me.n
jo kuchh mujhe diyaa hai vo lauTaa rahaa huu.n mai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
Siraj Faisal Khan
Sher
tark-e-ta.alluqaat pe royaa na tuu na mai.n
lekin ye kyaa ki chain se soyaa na tuu na mai.n
Khalid Ahmad
Sher
Shakeb Jalali
Sher
mai.n us ke saamne se guzartaa huu.n is liye
tark-e-ta.alluqaat kaa ehsaas mar na jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ek aisii bhii tajallii aaj mai-KHaane me.n hai
lutf piine me.n nahii.n hai balki kho jaane me.n hai
Asghar Gondvi
Sher
titliyaa.n paka.Dne me.n duur tak nikal jaanaa
kitnaa achchhaa lagtaa hai phuul jaise bachcho.n par
Parveen Shakir
Sher
tark-e-ta.alluqaat ko ik lamha chaahiye
lekin tamaam umr mujhe sochnaa pa.Daa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
anaa anaa ke muqaabil hai raah kaise khule
ta.alluqaat me.n haa.il hai baat kii diivaar
Haneef Kaifi
Sher
vo taaza-dam hai.n na.e sho.abde dikhaate hu.e
avaam thakne lage taaliyaa.n bajaate hu.e
Azhar Inayati
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
na jaane KHatm hu.ii kab hamaarii aazaadii
ta.alluqaat kii paabandiyaa.n nibhaate hu.e
Azhar Iqbal
Sher
afsos jin ke dam se har ik suu hai.n nafrate.n
ham ne ta.alluqaat unhii.n se ba.Dhaa liye
Majid Deobandi
Sher
ta.alluqaat me.n gahraa.iyaa.n to achchhii hai.n
kisii se itnii magar qurbate.n bhii Thiik nahii.n
Aitbar Sajid
Sher
jugnuu miyaa.n kii dum jo chamaktii hai raat ko
sab dekh dekh us ko bajaate hai.n taaliyaa.n