SEARCH RESULTS
Showing search results for "تعاقب"
Sher MATCHES FOR "تعاقب"
Sher
ab vo titlii hai na vo umr ta.aaqub vaalii
mai.n na kahtaa thaa bahut duur na jaanaa mire dost
Faisal Ajmi
Sher
ghiraa hu.aa huu.n janam-din se is ta.aaqub me.n
zamiin aage hai aur aasmaa.n mire piichhe
Mohammad Izhar ul Haq
Sher
thii titliyo.n ke ta.aaqub me.n zindagii merii
vo shahr kyaa hu.aa jis kii thii har galii merii
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
mai.n KHud hii apne ta.aaqub me.n phir rahaa huu.n abhii
uThaa ke tuu merii raaho.n se raastaa le jaa
Lutf-ur-rahman
Sher
ye raushnii ke ta.aaqub me.n bhaagtaa hu.aa din
jo thak gayaa hai to ab us ko muKHtasar kar de
Iftikhar Arif
Sher
Zubair Rizvi
Sher
shaayad apnaa hii ta.aaqub hai mujhe sadiyo.n se
shaayad apnaa hii tasavvur liye jaataa hai mujhe
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
karne ko raushnii ke ta.aaqub kaa tajraba
kuchh duur mere saath bhii parchhaa.iyaa.n ga.ii.n
Azhar Inayati
Sher
lauT jaane kii ijaazat nahii.n duu.ngaa us ko
ko.ii ab mere ta.aaqub me.n agar aataa hai
Ghulam Husain Sajid
Sher
ye mai.n huu.n KHud ki ko.ii aur hai ta.aaqub me.n
ye ek saaya pas-e-rahguzaar kis kaa hai
Abdussamad ’Tapish’
Sher
phir ye Gurbat nahii.n kartii hai ta.aaqub us kaa
jab ko.ii shaKHs mohabbat ko kamaane nikle
Dr. Yasin Aatir
Sher
udaas rut hai abhii tak mire ta.aaqub me.n
KHizaa.n ke phuul khile hai.n bahaar se baahar
Mohammad Naved Mirza
Sher
mirii nazar me.n hai anjaam is ta.aaqub kaa
jahaa.n bhii dostii jaatii hai dushmanii jaa.e