SEARCH RESULTS
Showing search results for "تفنگ"
Sher MATCHES FOR "تفنگ"
Sher
miraa hii siina kushaada hai chaahato.n ke ta.ii.n
tufa.ng-e-dard miraa hii nishaanaa chaahtii hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
ham duniyaa se jab ta.ng aayaa karte hai.n
apne saath ik shaam manaayaa karte hai.n
Taimur Hasan
Sher
ziist se ta.ng ho ai 'daaG' to jiite kyuu.n ho
jaan pyaarii bhii nahii.n jaan se jaate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
mai.n ab to ai junuu.n tire haatho.n se ta.ng huu.n
laa.uu.n kahaa.n se roz garebaa.n na.e na.e
Niyaz Fatehpuri
Sher
kyaa usii kaa naam hai ra.anaa.ii-e-bazm-e-hayaat
ta.ng kamra sard bistar aur tanhaa aadmii
Chandrabhan Khayal
Sher
mu.aaf kar na sakii merii zindagii mujh ko
vo ek lamha ki mai.n tujh se ta.ng aayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Sher
mahruum huu.n mai.n KHidmat-e-ustaad se 'muniir'
kalkatta mujh ko gor se bhii ta.ng ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
ra.ng laa.egii hamaarii ta.ng-dastii ek din
misl-e-Gaalib 'shaad' gar sab kuchh udhaar aataa gayaa
Shaad Aarfi
Sher
ye kaise malbe ke niiche dabaa diyaa gayaa huu.n
mujhe badan se nikaalo mai.n ta.ng aa gayaa huu.n
Irfan Sattar
Sher
ta.ngi-e-dil kaa gila kyaa ye vo kaafir-dil hai
ki agar ta.ng na hotaa to pareshaa.n hotaa
Mirza Ghalib
Sher
ye jism ta.ng hai siine me.n bhii lahuu kam hai
dil ab vo phuul hai jis me.n ki ra.ng-o-buu kam hai
Pallav Mishra
Sher
fazaa kaa ta.ng honaa fitrat-e-aazaad se puuchho
par-e-parvaaz hii kyaa jo qafas ko aashiyaa.n samjhe
Figar Unnavi
Sher
zaahid-e-ta.ng-nazar ne mujhe kaafir jaanaa
aur kaafir ye samajhtaa hai musalmaan huu.n mai.n
Unknown
Sher
mai.n ta.ng huu.n sukuun se ab iztiraab de
be-intihaa sukuun bhii aazaar hii to hai