SEARCH RESULTS
Showing search results for "جا،"
Sher MATCHES FOR "جا،"
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
dono.n jahaan terii mohabbat me.n haar ke
vo jaa rahaa hai ko.ii shab-e-Gam guzaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
Qateel Shifai
Sher
Muneer Niyazi
Sher
tum mujhe chho.D ke jaa.oge to mar jaa.uu.ngaa
yuu.n karo jaane se pahle mujhe paagal kar do
Bashir Badr
Sher
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
apne man me.n Duub kar paa jaa suraaG-e-zindagii
tuu agar meraa nahii.n bantaa na ban apnaa to ban
Allama Iqbal
Sher
log kahte hai.n ki tuu ab bhii KHafaa hai mujh se
terii aa.nkho.n ne to kuchh aur kahaa hai mujh se
Jan Nisar Akhtar
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
aashiqii me.n 'miir' jaise KHvaab mat dekhaa karo
baavle ho jaa.oge mahtaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Sher
sau chaa.nd bhii chamke.nge to kyaa baat banegii
tum aa.e to is raat kii auqaat banegii