SEARCH RESULTS
Showing search results for "جمع"
Sher MATCHES FOR "جمع"
Sher
jam.a karte rahe jo apne ko zarra zarra
vo ye kyaa jaane.n bikharne me.n sukuu.n kitnaa hai
Shahryar
Sher
yaar sab jam.a hu.e raat kii KHaamoshii me.n
ko.ii ro kar to ko.ii baal banaa kar aayaa
Ahmad Mushtaq
Sher
mujh ko shaa.er na kaho 'miir' ki saahab mai.n ne
dard o Gam kitne kiye jam.a to diivaan kiyaa
Meer Taqi Meer
Sher
jam.a kartii hai mujhe raat bahut mushkil se
sub.h ko ghar se nikalte hii bikharne ke liye
Javed Shaheen
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
jam.a kar liijiye Gairo.n ko magar KHuubii-e-bazm
bas vahii.n tak hai ki baazaar na hone paa.e
Shibli Nomani
Sher
us ke sun.ne ke liye jama.a hu.aa hai mahshar
rah gayaa thaa jo fasaana mirii rusvaa.ii kaa
Saqib Lakhnavi
Sher
jaa sake na masjid tak jam.a the bahut zaahid
mai-kade me.n aa baiThe jab na raastaa paayaa
Habeeb Moosavi
Sher
tho.Daa saa kahii.n jam.a bhii rakh dard kaa paanii
mausam hai ko.ii KHushk saa barsaat se aage
Javed Shaheen
Sher
Manzar Lakhnavi
Sher
havas kaa rang cha.Dhaa us pe aur utar bhii gayaa
vo KHud hii jam.a hu.aa aur KHud bikhar bhii gayaa
Aqeel Shadab
Sher
Hari Chand Akhtar
Sher
Haneef akhgar
Sher
be-sabab jama.a to kartaa nahii.n tiir o tarkash
kuchh hadaf hogaa zamaane kii sitamgaarii kaa
Ejaz Gul
Sher
sajde ke har nishaa.n pe hai KHuu.n saa jamaa hu.aa
yaaro ye us ke ghar kaa kahii.n raasta na ho