SEARCH RESULTS
Showing search results for "جگہ"
Sher MATCHES FOR "جگہ"
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
zaahid sharaab piine de masjid me.n baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaa.n par KHudaa na ho
Unknown
Sher
Hasrat Mohani
Sher
in hasrato.n se kah do kahii.n aur jaa base.n
itnii jagah kahaa.n hai dil-e-daaG-daar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.nsuu kii jagah aa.nkh se hasrat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Sher
ittifaaq apnii jagah KHush-qismatii apnii jagah
KHud banaataa hai jahaa.n me.n aadmii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
mirii jagah ko.ii aa.iina rakh liyaa hotaa
na jaane tere tamaashe me.n meraa kaam hai kyaa
Zeb Ghauri
Sher
jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThii
jab tiraa Gam jagaa liyaa raat machal machal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
rahiye ab aisii jagah chal kar jahaa.n ko.ii na ho
ham-suKHan ko.ii na ho aur ham-zabaa.n ko.ii na ho
Mirza Ghalib
Sher
Bashir Badr
Sher
kah to saktaa huu.n magar majbuur kar saktaa nahii.n
iKHtiyaar apnii jagah hai bebasii apnii jagah