SEARCH RESULTS
Showing search results for "جھکنے"
Sher MATCHES FOR "جھکنے"
Sher
ab is ke tasavvur se bhii jhukne lagii.n aa.nkhe.n
nazraana diyaa hai jise mai.n ne dil o jaa.n kaa
Ahmad Rahi
Sher
bojh se jhukne lagii shaaKH to jaa kar ham ne
aashiyaane ko kisii aur shajar par rakkhaa
Jamal Ehsani
Sher
tire labo.n ko milii hai shaguftagii gul kii
hamaarii aa.nkh ke hisse me.n jharne aa.e hai.n
Aaga nisaar
Sher
ishq paaband-e-vafaa hai na ki paaband-e-rusuum
sar jhukaane ko nahii.n kahte hai.n sajda karnaa
Aasi uldani
Sher
jis din mirii jabii.n kisii dahliiz par jhuke
us din KHudaa shigaaf mire sar me.n Daal de
Kaif Bhopali
Sher
huzuur aap ko.ii faisla kare.n to sahii
hai.n sar jhuke hu.e darbaar bhii lagaa hu.aa hai
Humaira Rahat
Sher
Dar hai na dupaTTa kahii.n siine se sarak jaa.e
pa.nkhaa bhii hame.n paas se jhalne nahii.n dete
Riyaz Khairabadi
Sher
ik dhuup sii tanii hu.ii baadal ke aar-paar
ik pyaas hai rukii hu.ii jharne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Sher
jab us ko dekhte rahne se thakne lagtaa huu.n
to apne KHvaab kii palke.n jhapakne lagtaa huu.n
Farhat Ehsas
Sher
lete hai.n samar shaaKH-e-samarvar ko jhukaa kar
jhukte hai.n saKHii vaqt-e-karam aur ziyaada
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
palak jhapakne me.n kuchh KHvaab TuuT jaate hai.n
jo but-shikan hai vahii lamha but-taraash bhii thaa
Tanveer Ahmad Alvi
Sher
aabid umar
Sher
vo lamha ziist kaa la.anat hai aadmii ke liye
jhuke jo sar kahii.n iz.haar-e-bandagii ke liye
Sohail Azeemabadi
Sher
abhii se is me.n shabaahat mirii jhalakne lagii
abhii to dasht me.n do chaar din guzaare hai.n
Abid Malik
Sher
ye masal sach hai vo hii jhukte hai.n
jo shajar baar-daar hote hai.n
Sulaiman Shikoh Gordner Fana
Sher
baa.ndh ke saf ho.n sab kha.De teG ke saath sar jhuke
aaj to qatl-gaah me.n dhuum se ho namaaz-e-ishq
Sahar Bhopali
Sher
phuul jab jha.Dne lage ra.ngii.n-bayaanii se mirii
rah ga.ii hairat se bulbul khol kar minqaar ko