SEARCH RESULTS
Showing search results for "حائل"
Sher MATCHES FOR "حائل"
Sher
anaa anaa ke muqaabil hai raah kaise khule
ta.alluqaat me.n haa.il hai baat kii diivaar
Haneef Kaifi
Sher
kuchh a.ndhere hai.n abhii raah me.n haa.il 'aKHtar'
apnii manzil pe nazar aa.egaa insaa.n ik roz
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
mere us ke darmiyaa.n haa.il ka.ii kohsaar hai.n
mujh tak aate-aate baadal tishna-lab ho jaa.egaa
Ameer Qazalbash
Sher
jo pahle roz se do aa.ngano.n me.n thaa haa.il
vo faasla to zamiin aasmaan me.n bhii na thaa
Jamal Ehsani
Sher
ko.ii bhii pechiidgii haa.el nahii.n anvar-'sadiid'
zindagii hai saamne manzar-ba-manzar aur mai.n
Anwar Sadeed
Sher
ba-du.aa apne liye kii to bahut thii mai.n ne
haa.n magar raah me.n haa.il jo du.aa thii terii
Zia Zameer
Sher
darmiyaa.n garche hijaabaat nahii.n duurii ke
ab jo haa.il hai vo parda hai shanaasaa.ii kaa
Minhaj Ali
Sher
tiraa vajuud tire raaste me.n haa.il hai
yahii.n se ho ke miraa qaafila guzartaa hai
Mahender Kumar Sani
Sher
aaj bhii us ke mire biich hai duniyaa haa.il
aaj bhii us ke mire biich kii mushkil hai vahii
Ain Tabish
Sher
Zafar Iqbal
Sher
tujhe naqsh-e-hastii miTaayaa to dekhaa
jo parda thaa haa.il uThaayaa to dekhaa
Mamnoon Nizamuddin
Sher
kahii.n pe mantiq kahii.n dalaa.el zaruur ho.nge
rah-e-junuu.n me.n savaal haa.il zaruur ho.nge
Abbas Mumtaz
Sher
aa.nkh uThaa.o to hijaabaat kaa ik aalam hai
dil se dekho to ko.ii raah me.n haa.il bhii nahii.n
Javed Vashisht
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai