SEARCH RESULTS
Showing search results for "حاصل_مدعائے_دل"
Sher MATCHES FOR "حاصل_مدعائے_دل"
Sher
sa.i-e-laa-haasil mudaavaa-e-mariiz-e-ishq hai
thaamnaa mumkin nahii.n girtii hu.ii diivaar kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
Amjad Najmi
Sher
hai.n vo suufii jo kabhii naalaa-e-naaquus sunaa
vajd karne lage ham dil kaa ajab haal hu.aa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kis se kahuu.n mai.n haal-e-dil apnaa ki taa sune
is shahr me.n rahaa bhii ko.ii dard-ma.nd hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
iz.haar-e-haal kaa bhii zariiya nahii.n rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aa.nkho.n me.n nam nahii.n
Ismail Merathi
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kisii bhii haal me.n raazii nahii.n hai dil ham se
har ik tarah kaa ye kaafir bahaana rakhtaa hai
Anjum Rumani
Sher
khii.nch laa.ii hai mohabbat tire dar par mujh ko
itnii aasaanii se varna kise haasil hu.aa mai.n
Irshad Khan Sikandar
Sher
Akbar Hyderabadi
Sher
'bahzaad' saaf saaf mai.n kahtaa huu.n haal-e-dil
sharminda-e-kamaal mirii shaa.irii nahii.n
Behzad Lakhnavi
Sher
ka.aba kaa aur KHaana-e-dil kaa ye haal hai
jaise ko.ii makaa.n ho makaa.n ke javaab me.n
Meer Kallu Arsh
Sher
chaahuu.n ki haal-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karuu.n
bhaage.n huruuf vaqt-e-nigaarish qalam se duur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
dil kaa kyaa haal kahuu.n sub.h ko jab us but ne
le ke a.ng.Daa.ii kahaa naaz se ham jaate hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
haal-e-dil kahte hii aa jaatii hai jab yaad un kii
ham kahii.n hote hai.n afsaana kahii.n hotaa hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
sunoge haal jo meraa to daad kyaa doge
yahii kahoge ki jhuuTaa hai tuu zamaane kaa
Muztar Khairabadi
Sher
haal-e-dil sun ke vo aazurda hai.n shaayad un ko
is hikaayat pe shikaayat kaa gumaa.n guzraa hai