SEARCH RESULTS
Showing search results for "حجابي"
Sher MATCHES FOR "حجابي"
Sher
aastii.n us ne jo kuhnii tak cha.Dhaa.ii vaqt-e-sub.h
aa rahii saare badan kii be-hijaabii haath me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kaash mai.n parde kaa shikva hii na kartaa un se
be-hijaabii ne kiyaa aur bhii betaab mujhe
Unknown
Sher
be-hijaabii jo sahii hai tirii shoKH aa.nkho.n kii
rasm parde kii uThegii isii ghar se pahle
Jaleel Manikpuri
Sher
ishq bhii ho hijaab me.n husn bhii ho hijaab me.n
yaa to KHud aashkaar ho yaa mujhe aashkaar kar
Allama Iqbal
Sher
Nooh Narvi
Sher
tamaam jism kii uryaaniyaa.n thii.n aa.nkho.n me.n
vo merii ruuh me.n utraa hijaab pahne hu.e
Saqi Faruqi
Sher
adaa-e-husn kii ma.asuumiyat ko kam kar de
gunaahgaar-e-nazar ko hijaab aataa hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
maanaa ki sab ke saamne milne se hai hijaab
lekin vo KHvaab me.n bhii na aa.e.n to kyaa kare.n
Akhtar Shirani
Sher
Ahmad Faraz
Sher
kab tak chhupaa.oge ruKH-e-zebaa naqaab me.n
barq-e-jamaal rah nahii.n saktaa hijaab me.n
Unknown
Sher
kare.n salaam use to ko.ii javaab na de
ilaahii itnaa bhii us shaKHs ko hijaab na de
Ibrahim Ashk
Sher
ye sharm-gii.n nigah ye tabassum naqaab me.n
kyaa be-hijaabiyaa.n hai.n tumhaare hijaab me.n
Joseph Desilva
Sher
hijaab karne kii bandish mujhe gavaaraa nahii.n
ki meraa jism ko.ii maal-e-zar tumhaaraa nahii.n
Syeda Arshia Haq
Sher
Imtiyaz Ali Arshi
Sher
hai.n mirii raah kaa patthar mirii aa.nkho.n kaa hijaab
zaKHm baahar ke jo andar nahii.n jaane dete