SEARCH RESULTS
Showing search results for "حجر"
Sher MATCHES FOR "حجر"
Sher
garm az-bas-ki hai baazaar-e-butaa.n ai zaahid
rashk se Tuk.De hu.aa hai hajar-asvad bhii
Taban Abdul Hai
Sher
tayyaar the namaaz pe ham sun ke zikr-e-huur
jalva buto.n kaa dekh ke niiyat badal ga.ii
Akbar Allahabadi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
farishte hashr me.n puuchhe.nge paak-baazo.n se
gunaah kyuu.n na kiye kyaa KHudaa Gafuur na thaa
Unknown
Sher
Allama Iqbal
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
puuchhegaa jo KHudaa to ye kah de.nge hashr me.n
haa.n haa.n gunah kiyaa tirii rahmat ke zor par
Unknown
Sher
ab aur der na kar hashr barpaa karne me.n
mirii nazar tire diidaar ko tarastii hai
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
hashr me.n kaun gavaahii mirii degaa 'saaGar'
sab tumhaare hii taraf-daar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Sher
Agha Hashr Kashmiri
Sher
tauhiid to ye hai ki KHudaa hashr me.n kah de
ye banda zamaane se KHafaa mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
miltii nahii.n panaah hame.n jis zamiin par
ik hashr us zamii.n pe uThaa denaa chaahiye
Muneer Niyazi
Sher
kaash us ke ruu-ba-ruu na kare.n mujh ko hashr me.n
kitne mire savaal hai.n jin kaa nahii.n javaab
Meer Taqi Meer
Sher
parvaano.n kaa to hashr jo honaa thaa ho chukaa
guzrii hai raat sham.a pe kyaa dekhte chale.n
Shad Azimabadi
Sher
vasl ho jaa.e yahii.n hashr me.n kyaa rakkhaa hai
aaj kii baat ko kyuu.n kal pe uThaa rakkhaa hai
Ameer Minai
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sab kuchh KHudaa se maa.ng liyaa tujh ko maa.ng kar
uThte nahii.n hai.n haath mire is du.aa ke ba.ad