SEARCH RESULTS
Showing search results for "حظ"
Sher MATCHES FOR "حظ"
Sher
Wali Uzlat
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
ab to KHushii kaa Gam hai na Gam kii KHushii mujhe
be-his banaa chukii hai bahut zindagii mujhe
Shakeel Badayuni
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
aur kyaa is se ziyaada ko.ii narmii bartuu.n
dil ke zaKHmo.n ko chhu.aa hai tire gaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Sher
usii ko jiine kaa haq hai jo is zamaane me.n
idhar kaa lagtaa rahe aur udhar kaa ho jaa.e
Waseem Barelvi
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
had se ba.Dhe jo ilm to hai jahl dosto
sab kuchh jo jaante hai.n vo kuchh jaante nahii.n
Khumar Barabankavi
Sher
jitnaa dekho use thaktii nahii.n aa.nkhe.n varna
KHatm ho jaataa hai har husn kahaanii kii tarah
Zeb Ghauri
Sher
aa.iin-e-javaa.n-mardaa.n haq-go.ii o be-baakii
allaah ke shero.n ko aatii nahii.n ruubaahii
Allama Iqbal
Sher
dilo.n me.n hubb-e-vatan hai agar to ek raho
nikhaarnaa ye chaman hai agar to ek raho