SEARCH RESULTS
Showing search results for "حقیؔ"
Sher MATCHES FOR "حقیؔ"
Sher
Abul Hasanat Haqqi
Sher
ba.Dii talaash se miltii hai zindagii ai dost
qazaa kii tarah pataa puuchhtii nahii.n aatii
Shaanul Haq Haqqi
Sher
tum se ulfat ke taqaaze na nibaahe jaate
varna ham ko bhii tamannaa thii ki chaahe jaate
Shaanul Haq Haqqi
Sher
kyaa vo KHvaahish ki jise dil bhii samajhtaa ho haqiir
aarzuu vo hai jo siine me.n rahe naaz ke saath
Akbar Allahabadi
Sher
vo mehrbaan nahii.n hai to phir KHafaa hogaa
ko.ii to raabta us ko bahaal rakhnaa hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
ye sach hai us se bichha.D kar mujhe zamaana hu.aa
magar vo lauTnaa chaahe to phir zamaana bhii kyaa
Abul Hasanat Haqqi
Sher
kyaa jaane.n un kii chaal me.n e.ajaaz hai ki sehr
vo bhii unhii.n se mil ga.e jo the hamaare log
Haqeer
Sher
mai.n apnii maa.n ke vasiile se zinda-tar Thahruu.n
ki vo lahuu mire sabr-o-razaa me.n raushan hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
Mahboob Khizan
Sher
sajde mirii jabii.n ke nahii.n is qadar haqiir
kuchh to samajh rahaa huu.n tire aastaa.n ko mai.n