SEARCH RESULTS
Showing search results for "حل"
Sher MATCHES FOR "حل"
Sher
himmat hai to buland kar aavaaz kaa alam
chup baiThne se hal nahii.n hone kaa mas.ala
Zia Jalandhari
Sher
KHud-kushii qatl-e-anaa tark-e-tamannaa bairaag
zindagii tere nazar aane lage hal kitne
Rafia Shabnam Abidi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
roz ke roz badaltaa huu.n mai.n KHud apnaa javaaz
zindagaanii mai.n tujhe hal nahii.n hone detaa
Saeedullah Qureshi
Sher
mas.ale to zindagii me.n roz aate hai.n magar
zindagii ke mas.alo.n kaa hal nikalnaa chaahiye
Mohammad Ali Sahil
Sher
saathiyo ab mujhe raste me.n utarnaa hogaa
Duubtii naav bachaane kaa nahii.n hal ko.ii aur
Afzal Khan
Sher
hal kar liyaa majaaz haqiiqat ke raaz ko
paa.ii hai mai.n ne KHvaab kii ta.abiir KHvaab me.n
Asghar Gondvi
Sher
bahut ba.iid na thaa mas.alo.n kaa hal honaa
anaa ke paa.nv se zanjiir ham haTaa na sake
Ahmad Ashfaq
Sher
sunaa hai shor se hal ho.nge saare mas.ale ik din
so ham aavaaz ko aavaaz se Takraate rahte hai.n
Nomaan Shauque
Sher
Abrar Ahmad Kashif
Sher
umr hii terii guzar jaa.egii un ke hal me.n
teraa bachcha jo savaalaat liye baiThaa hai
Hamid Mukhtar Hamid
Sher
log yuu.n jaate nazar aate hai.n maqtal kii taraf
mas.ale jaise ravaana ho.n kisii hal kii taraf
Farhat Ehsas
Sher
hai mas.ale kaa hal ye usii dar pe jaa.uu.n mai.n
jis dar pe ab mai.n jaane ke qaabil nahii.n rahaa