SEARCH RESULTS
Showing search results for "خانہ_خراب"
Sher MATCHES FOR "خانہ_خراب"
Sher
vaa.e Gurbat ki hu.e jis ke liye KHaana-KHaraab
sun ke aavaaz bhii ghar se na vo baahar niklaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
bahut se KHuun-KHaraabe mache.nge KHaana-KHaraab
yahii hai rang agar tere paan khaane kaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
chuukii nazar jo zaahid-e-KHaana-KHaraab kii
tauba u.Daa ke le ga.ii botal sharaab kii
Muztar Khairabadi
Sher
chaman KHaraab kiyaa, ho KHizaa.n kaa KHaana-KHaraab
na gul rahaa hai na bulbul hai baaGbaa.n tanhaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
hazrat-e-ishq ne dono.n ko kiyaa KHaana-KHaraab
barhaman but-kada aur shaiKH haram bhuul ga.e
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yaar par ilzaam kaisaa ai dil-e-KHaana-KHaraab
jo kiyaa tujh se tirii qismat ne us ne kyaa kiyaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
apnii kahe.n ki is dil-e-KHaana-KHaraab kii
tum ko jo ho pasand vahii guftuguu kare.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ulfat-e-kuucha-e-jaanaa.n ne kiyaa KHaana-KHaraab
barhaman dair se ka.abe se musalmaa.n niklaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kyaa kyaa kiyaa hai kuucha-ba-kuucha mujhe KHaraab
KHaana KHaraab ho dil-e-KHaana-KHaraab kaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
jis kaam ko jahaa.n me.n tuu aayaa thaa ai 'naziir'
KHaana-KHaraab tujh se vahii kaam rah gayaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
dil KHush hu.aa hai masjid-e-viiraa.n ko dekh kar
merii tarah KHudaa kaa bhii KHaana KHaraab hai
Abdul Hamid Adam
Sher
tuu ne Gaarat kiyaa ghar baiThe ghar ik aalam kaa
KHaana aabaad ho teraa ai mire KHaana-KHaraab
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
is kashmakash se daam ke kyaa kaam thaa hame.n
ai ulfat-e-chaman tiraa KHaana-KHaraab ho
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ri.nd-mashrab ko.ii 'beKHud' saa na hogaa vallaah
pii ke masjid hii me.n ye KHaana-KHaraab aataa hai
Bekhud Dehlvi
Sher
teraa qusuur-vaar KHudaa kaa gunaahgaar
jo kuchh ki thaa yahii dil-e-KHaana-KHaraab thaa