SEARCH RESULTS
Showing search results for "خاور"
Sher MATCHES FOR "خاور"
Sher
yaa to jo naa-fahm hai.n vo bolte hai.n in dino.n
yaa jinhe.n KHaamosh rahne kii sazaa ma.aluum hai
Shuja Khaavar
Sher
hazaar rang me.n mumkin hai dard kaa iz.haar
tire firaaq me.n marnaa hii kyaa zaruurii hai
Shuja Khaavar
Sher
aap idhar aa.e udhar diin aur iimaan ga.e
iid kaa chaa.nd nazar aayaa to ramzaan ga.e
Shuja Khaavar
Sher
ghar me.n bechainii ho to agle safar kii sochnaa
phir safar naakaam ho jaa.e to ghar kii sochnaa
Shuja Khaavar
Sher
Shuja Khaavar
Sher
be-aarzuu bhii KHush hai.n zamaane me.n baaz log
yaa.n aarzuu ke saath bhii jiinaa haraam hai
Shuja Khaavar
Sher
Shuja Khaavar
Sher
Shuja Khaavar
Sher
us bevafaa kaa shahr hai aur vaqt-e-shaam hai
aaise me.n aarzuu ba.Dii himmat kaa kaam hai
Shuja Khaavar
Sher
dil kii baate.n duusro.n se mat kaho luT jaa.oge
aaj kal iz.haar ke dhandhe me.n hai ghaaTaa bahut
Shuja Khaavar
Sher
dil me.n nafrat ho to chehre pe bhii le aataa huu.n
bas isii baat se dushman mujhe pahchaan ga.e
Shuja Khaavar
Sher
Shuja Khaavar
Sher
'shujaa.a' maut se pahle zaruur jii lenaa
ye kaam bhuul na jaanaa ba.Daa zaruurii hai