SEARCH RESULTS
Showing search results for "خسارا"
Sher MATCHES FOR "خسارا"
Sher
suno ki ab ham gulaab de.nge gulaab le.nge
mohabbato.n me.n ko.ii KHasaara nahii.n chalegaa
Jawayd Anwar
Sher
sach ke saude me.n na pa.Dnaa ki KHasaaraa hogaa
jo hu.aa haal hamaaraa so tumhaaraa hogaa
Anjum Rumani
Sher
vo KHush hu.aa ki us ko KHasaaraa nahii.n hu.aa
mai.n ro rahaa thaa meraa sahaaraa chalaa gayaa
Amritanshu Sharma
Sher
saarii rusvaa.ii zamaane kii gavaaraa kar ke
zindagii jiite hai.n kuchh log KHasaara kar ke
Hashim Raza Jalalpuri
Sher
hijr me.n itnaa KHasaara to nahii.n ho saktaa
ek hii ishq dobaara to nahii.n ho saktaa
Afzal Gauhar Rao
Sher
log kahte hai.n ki is khel me.n sar jaate hai.n
ishq me.n itnaa KHasaara hai to ghar jaate hai.n
Shakeel Jamali
Sher
KHariidne ke liye us ko bik gayaa KHud hii
mai.n vo huu.n jis ko munaafe me.n bhii KHasaaraa hu.aa
Saleem Siddiqui
Sher
kaarobaar me.n ab ke KHasaara aur tarah kaa hai
kaam nahii.n ba.Dhtaa mazduurii ba.Dhtii jaatii hai
Iftikhar Arif
Sher
mai.n ek ishq me.n naakaam kyaa hu.aa 'gauhar'
har ek kaam me.n mujh ko KHasaaraa hone lagaa
Afzal Gauhar Rao
Sher
maalik mujhe jahaa.n me.n utaaraa hai kis liye
aadam kii bhuul meraa KHasaara hai kis liye
Siraj Faisal Khan
Sher
unhe.n ye fikr ki dil ko kahaa.n chhupaa rakkhe.n
hame.n ye shauq ki dil kaa KHasaara kyuu.nkar ho
Aslam Emadi
Sher
lauTaa jab chaa.nd bhii suuraj bhii KHasaaraa kar ke
ham ne chamkaa diyaa aa.ngan ko sitaaraa kar ke
Rakesh Toofan
Sher
jis tarah log KHasaare me.n bahut sochte hai.n
aaj kal ham tire baare me.n bahut sochte hai.n
Iqbal Kausar
Sher
Sarvat Husain
Sher
kabhii dimaaG ko KHaatir me.n ham ne laayaa nahii.n
ham ahl-e-dil the hamesha rahe KHasaare me.n
Khurshid Talab
Sher
aaKHir insaan huu.n patthar kaa to rakhtaa nahii.n dil
ai buto itnaa sataa.o na KHudaa-raa mujh ko