SEARCH RESULTS
Showing search results for "خطرہ"
Sher MATCHES FOR "خطرہ"
Sher
ek aa.nsuu bhii hukuumat ke liye KHatra hai
tum ne dekhaa nahii.n aa.ankho.n kaa samundar honaa
Munawwar Rana
Sher
aasmaa.n aisaa bhii kyaa KHatra thaa dil kii aag se
itnii baarish ek shole ko bujhaane ke liye
Zafar Gorakhpuri
Sher
ye huu kaa vaqt ye jangal ghanaa ye kaalii raat
suno yahaa.n ko.ii KHatra nahii.n Thahar jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
badan me.n aag hai roGan mire KHayaal me.n hai
judaa hii rah abhii KHatra bahut visaal me.n hai
Vipul Kumar
Sher
baazaar se guzre hai vo be-parda ki us ko
hinduu kaa hai KHatra na musalmaan kaa Dar hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jalaa aashiyaa.n jab se dil mutma.in hai
na bijlii kaa KHatra na dha.Dkaa KHizaa.n kaa
Makhfi Lakhnavi
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
qariib aane me.n mushkil to kuchh nahii.n lekin
qariib aane me.n KHatra hai duur hone kaa
Raghvendra Dwivedi
Sher
yaa.n ziist kaa KHatra nahii.n haa.n khii.nchiye talvaar
vo Gair thaa jo dekh ke samsaam Dare thaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
KHatra thaa aa.ndhiy.o.n se magar haa.e-re nasiib
baad-e-sabaa charaaG bujhaa kar chalii ga.ii
Abrar Asar
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
tum ko chaahaa to KHataa kyaa hai bataa do mujh ko
duusraa ko.ii to apnaa saa dikhaa do mujh ko
Dagh Dehlvi
Sher
har galii kuuche me.n rone kii sadaa merii hai
shahr me.n jo bhii hu.aa hai vo KHataa merii hai
Farhat Ehsas
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa