SEARCH RESULTS
Showing search results for "خیبر"
Sher MATCHES FOR "خیبر"
Sher
Nida Fazli
Sher
mujhe KHabar thii miraa intizaar ghar me.n rahaa
ye haadsa thaa ki mai.n umr bhar safar me.n rahaa
Saqi Faruqi
Sher
aagaah apnii maut se ko.ii bashar nahii.n
saamaan sau baras kaa hai pal kii KHabar nahii.n
Hairat Allahabadi
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
kuchh KHabar hai tujhe o chain se sone vaale
raat bhar kaun tirii yaad me.n bedaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
ham to samjhe the ki ik zaKHm hai bhar jaa.egaa
kyaa KHabar thii ki rag-e-jaa.n me.n utar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
tujh ko merii na mujhe terii KHabar jaa.egii
eid ab ke bhii dabe paa.nv guzar jaa.egii
Zafar Iqbal
Sher
kal tak to aashnaa the magar aaj Gair ho
do din me.n ye mizaaj hai aage kii KHair ho
Dagh Dehlvi
Sher
Bashir Badr
Sher
mai.n phuul chuntii rahii aur mujhe KHabar na hu.ii
vo shaKHs aa ke mire shahr se chalaa bhii gayaa
Parveen Shakir
Sher
mai.n muddato.n jiyaa huu.n kisii dost ke baGair
ab tum bhii saath chho.Dne ko kah rahe ho KHair
Firaq Gorakhpuri
Sher
Gam aur hotaa sun ke gar aate na vo 'vasiim'
achchhaa hai mere haal kii un ko KHabar nahii.n
Waseem Barelvi
Sher
mujh ko to hosh nahii.n tum ko KHabar ho shaayad
log kahte hai.n ki tum ne mujhe barbaad kiyaa