SEARCH RESULTS
Showing search results for "درس"
Sher MATCHES FOR "درس"
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
jamhuuriyat kaa dars agar chaahte hai.n aap
ko.ii bhii saaya-daar shajar dekh liijiye
Ajiz Matvi
Sher
falsafe saare kitaabo.n me.n ulajh kar rah ga.e
dars-gaaho.n me.n nisaabo.n kii thakan baaqii rahii
Naseer Ahmad Nasir
Sher
mujh se jo chaahiye vo dars-e-basiirat liije
mai.n KHud aavaaz huu.n merii ko.ii aavaaz nahii.n
Asghar Gondvi
Sher
har ik qayaas haqiiqat se duur-tar niklaa
kitaab kaa na ko.ii dars mo'tabar niklaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
merii diivaangii-e-ishq hai ik dars-e-jahaa.n
mere girne se bahut log sambhal jaate hai.n
Wahid Premi
Sher
Sahir Dehlavi
Sher
aashiq se naak-bhau.n na cha.Dhaa o kitaab-ruu
ham dars-e-ishq me.n ye alif bhii pa.Dhe nahii.n
Imdad Ali Bahr
Sher
dars-e-ilm-e-ishq se vaaqif nahii.n mutlaq faqiih
nahv hii me.n mahv hai yaa sarf hii me.n sarf hai
Waliullah Muhib
Sher
har buu.nd nok-e-kilk kii detii hai dars-e-hosh
kaunain kaa suraaG bhii batn-e-suKHan me.n hai
Bebak Bhojpuri
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogii
sunte the vo aa.e.nge sunte the sahar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai jis me.n
har gha.Dii dard ke paivand lage jaate hai.n