SEARCH RESULTS
Showing search results for "دزد_نگاہ_ناز"
Sher MATCHES FOR "دزد_نگاہ_ناز"
Sher
kisii Gariib ko zaKHmii kare.n ki qatl kare.n
nigaah-e-naaz pe jurmaane tho.Dii hote hai.n
Anwar Shuoor
Sher
un kii nigaah-e-naaz kii gardish ke saath saath
mahsuus ye hu.aa ki zamaana badal gayaa
Shaukat Pardesi
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
nigaah-e-naaz kii pahlii sii barhamii bhii ga.ii
mai.n dostii ko hii rotaa thaa dushmanii bhii ga.ii
Mael Lakhnavi
Sher
nigaah-e-naaz se saaqii kaa dekhnaa mujh ko
miraa vo haath me.n saaGar uThaa ke rah jaanaa
Shad Azimabadi
Sher
KHudaaraa ik nigaah-e-naaz hii se dekh lo ham ko
garebaa.n phaa.Dne ko aaj ham tayyaar baiThe hai.n
Nwab Saif Ali Sayyaf
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ham us nigaah-e-naaz ko samjhe the neshtar
tum ne to muskuraa ke rag-e-jaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
aamaada-e-karam hai ye kis kii nigaah-e-naaz
dil shikva-e-sitam se pashemaa.n hai aaj kyo.n
Ada Jafarey
Sher
barahman shaiKH ko kar de nigaah-e-naaz us but kii
guluu-e-zohd me.n taar-e-nazar zunnaar ban jaa.e
Habeeb Moosavi
Sher
S A Mehdi
Sher
bahkii bahkii nigah-e-naaz KHudaa KHair kare
husn me.n ishq ke andaaz KHudaa KHair kare
Manzar Lakhnavi
Sher
nigah-e-naaz se is chust qabaa ne dekhaa
shauq betaab gul-e-chaak-e-garebaa.n samjhaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye