SEARCH RESULTS
Showing search results for "دس"
Sher MATCHES FOR "دس"
Sher
ujaale apnii yaado.n ke hamaare saath rahne do
na jaane kis galii me.n zindagii kii shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ghar me.n das ho.n to ye raunaq nahii.n hogii ghar me.n
ek diivaane se aabaad hai sahraa kaisaa
Riyaz Khairabadi
Sher
sharaab band ho saaqii ke bas kii baat nahii.n
tamaam shahar hai do chaar das kii baat nahii.n
Asad Multani
Sher
das baje raat ko so jaate hai.n KHabre.n sun kar
aa.nkh khultii hai to aKHbaar talab karte hai.n
Shahzad Ahmad
Sher
ik ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa us gul ne
chau.nke das biis ruke saik.Do.n khaTke laakho.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
rahe.n na ri.nd ye zaahid ke bas kii baat nahii.n
tamaam shahr hai do-chaar das kii baat nahii.n
Asad Multani
Sher
das baara Gazliyaat jo rakhtaa hai jeb me.n
bazm-e-suKHan me.n hai vo nishaanii vabaal kii
Aziz Faisal
Sher
ham riyaazii ke hai.n maahir ki hamaare ghar me.n
ek tanKHvaah pe das log guzar karte hai.n
Saleem Siddiqui
Sher
'saalik' chakhaa.uu.n un ko mazaa jaur kaa abhii
Dartaa huu.n kuchh buraa na kahe.n sin ke das mujhe
Qurban Ali Salik Beg
Sher
das biis har mahiine me.n abruu nazar pa.De
is saal saare chaa.nd hu.e tiis tiis ke
Muneer Shikohabadi
Sher
Ahmad Jahangir
Sher
un kii nazar se merii nazar das baje la.Dii
das baj ke das minute pe musalmaan ho gayaa
Aaftab Lakhnvi
Sher
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
aziiz itnaa hii rakkho ki jii sambhal jaa.e
ab is qadar bhii na chaaho ki dam nikal jaa.e