SEARCH RESULTS
Showing search results for "دل_بر"
Sher MATCHES FOR "دل_بر"
Sher
baiThe hu.e raqiib hai.n dilbar ke aas-paas
kaa.nTo.n kaa hai hujuum gul-e-tar ke aas-paas
Jigar Moradabadi
Sher
rahm kar ham par bhii dil-bar hai.n tire
ishq ke haatho.n se aavaaro.n ke biich
Maatam Fazl Mohammad
Sher
chhoTii sii umr me.n hai.n vo dilbar to aib kyaa
sin kii kamii nikal ga.ii zulf-e-daraaz se
Jaleel Manikpuri
Sher
paa.nv saakit ho ga.e 'sarvat' kisii ko dekh kar
ik kashish mahtaab jaisii chehra-e-dilbar me.n thii
Sarvat Husain
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e
Khaleel Tanveer
Sher
KHudaa kare ki ye din baar baar aataa rahe
aur apne saath KHushii kaa KHazaana laataa rahe
Unknown
Sher
ik safar me.n ko.ii do baar nahii.n luT saktaa
ab dobaara tirii chaahat nahii.n kii jaa saktii
Jamal Ehsani
Sher
Unknown
Sher
pheraa bahaar kaa to baras do baras me.n hai
ye chaal hai KHizaa.n kii jo ruk ruk ke tham ga.ii
Mukhtar Siddiqui
Sher
do baar labo.n ne bhii aapas me.n liye bose
jab naam liyaa mai.n ne ik baar mohammad kaa
Armaan Jodhpuri
Sher
do baar labo.n ne bhii aapas me.n liye bose
jab naam liyaa mai.n ne ik baar mohammad kaa
Armaan Jodhpuri
Sher
ek dil patthar bane aur ek dil ban jaa.e mom
aaKHir itnaa farq kyuu.n taqsiim-e-aab-o-gil me.n hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
dar badar kii KHaak thii taqdiir me.n
ham liye kaa.ndho.n pe ghar chalte rahe
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
dar-ba-dar hone se pahle kabhii sochaa bhii na thaa
ghar mujhe raas na aayaa to kidhar jaa.uu.ngaa
Saqi Amrohvi
Sher
Lutf-ur-rahman
Sher
ek do baar to rokuu.ngaa muravvat me.n tujhe
saika.Do.n baar to israar nahii.n kar saktaa
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
dar-ba-dar phirne ne merii qadr kho.ii ai falak
un ke dil me.n hii jagah miltii jo KHalvat maa.ngtaa